Your Ad Here

Monday, August 2, 2010

{ Poem } Phool bankar muskarana zindagi

Phool bankar muskarana zindagi,
muskarake gum bhulana zindagi,
jeet kar koi khush ho to kya hua,
haar kar khushiya manana bhi zindagi...

Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana hamari majburi hai,
Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko zuban dena zaruri hai?

Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!

Kitna bhi chaho na bhol paoge
Kitna bhi chaho na bhol paoge
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge
Humein mita sakte ho to mita do
yaadein meri, magar..
kya sapno se juda kar pao ge humein.

Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera

Na chaho kisi ko itna ki
chahat aapki majburi ban jaye,
chaho kisi ko itna ki aapka pyaar
uske liye jaruri ban jaye

Pani main pathar mat pheko
Koi pani pita hai
Pani main pathar mat pheko
Koi pani pita hai
Apne chehre par muskuhart sajaye rakha karo
Koi isi muskan ke liye jita hai

Sabhi nagme saaz mein gaye nahi jaate,
sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,
kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
kuch dur reh kar bhi bhoolaye nahi jaate...

Har pal ne kaha ek pal se...
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao...
pal bhar ka saath kuch aisa ho...
ki har pal tum hi yaad aao...

Humse door jayoge kaise,
Dil se hume bhulayoge kaise,
Hum to vo khusboo hain jo aapki
saanso mein baste hain,
Khud ki saanso ko rok payoge kaise

Jab tanhai me aapki yaad aati hai,
Hontho pe ek hi fariyad aati hai...
Khuda aapko har khushi de,
Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai..

Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar ankhein hamari kahan se layega..!!

Jab Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai

Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Achha B Is Kadar Na Lage,
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se,
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lage...

Zarurat hi nai alfaaz ki,
pyaar to cheez hai bas ehsaas ki,
paas hote to manzar hi kya hota,
dur se hi khabar hai hume aapki har saans ki...

Kashish honi chahiye kisi ko yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jayenge,
waqt hona chahiye kisi ko milne ka,
bahane to apne aap hee mil jayenge.

Lamhe judai ke bekarar karte hain,
Haalat meri mujhe laachar karte hain,
Aankhe meri pad lo kabhi,
Ham khud kaise kahe ki
hum aapse pyaar karte hain.

Ajeeb si kashish hai aap me
Ki hum aap k khayalon me khoye rehte hai
Ye soch kar k aap khawabo me aao ge
Hum din me bhi soya karte hai.

Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.

Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
Hume har kadam per aapki zarurat hai.

Lamhe ye suhane saath ho na ho,
kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
aapka pyar hamesha is dil mei rahega,
chahe poori umar mulaqat ho na ho..

Na kabhi muskurahat tere hothon se duur ho..
Teri har khwahish haqiqat ko manzoor ho..
Ho jaye jo tu mujhse khafa..
Khuda na kare mujhse kabhi aisa kasoor ho..

Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
Shayad nazar se woh baat ho jaye.
Is umeed mein karte hain intezaar raat ka
ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.

No comments: