Your Ad Here

Friday, February 19, 2010

{ POEM } Manzil ke kareeb


Baandhkar rakh saka hai kaun aawara hawa ke jhokhe ko,
ye woh panchhi hai jo pinjra lekar udd jaata hai.
Saari tamanna sab umeedein jahan aakar khatam hoti hain,
aadmi us aakhri pal mein Khuda se judd jaata hai.
Kisi khawab ki tabeer ko haasil karne ke liye,
woh shaks manzil ke kareeb raah se mudd jaata hai.

Bewafai ka sila wafa se sadaa yun hi dete rahenge,
woh insaan nahin jo dariya ke bahav se rudd jaata hai.

1 comment:

Anonymous said...

v v gud,mind blowing.thanx 4 that. byeeeee